*****
Kiya hai pyaar jise, Humne zindagi ki tarah,
Woh aashna bhi mila humse, ajnabee ki tarah. . .
Kise khabar thi badhegi, kuch aur tareki,
Chupega woh kisi badli mein, chandni ki tarah…
Badhaa ke pyaas meri, usne haath chod diya,
Woh kar raha tha, murravat dillagi ki tarah. . .
Sitam to yeh hai ki, woh bhi na ban saka apna,
Kubool humne kiye jiske gum, khushi ki tarah. . .
Kabhi na socha na tha, humein kateel uske liye,
Karega humpe sitam, woh bhi har kisi ki tarah. . .
Woh ashna bhi na mila humse, ajnabee ki tarah. . .
*****